Best Kids Channel on Youtube in India
Ajj kl ke bachchon ke bare mei kya hi kahen. unko uthne se leker raat ko sane tak mobile, ipad, yan phir laptop chahiye hota hai. koiki unko cartoon yan phir animation videos dekhni hoti hai. Ajj is article mei apko india ke best kids cartoon youtube channel ke bare mei btaoga.
iske ilawa bachcho ko game khelna bhi bahut pasand karte hai. maa baap ke mobile mei hamesha 2 yan 3 games app apko dekhne ko mil jaengi. lekin is article mei sirf hum cartoon channels ki hi baat karenge.
Top 10 Kids Channels on Youtube
Chuchu Tv
Chuchu tv feb, 2013 ko youtube per start kiya gya tha. is channel per apko kids se related bahut sari achchi videos mil jaengi. is channel apko “nursery rhymes and educational songs with colorful animations” mil jaenge. isko ilawa apko is channel ki apps bhi mil jaengi. jinko aap asani se android aur ios se download kar sakte hai.
Kiyan Tv
Kiyan tv es new channel hai jo sirf aur sirf bachcho ki videos ke lie banya gya hai. is channel per apko bahut sari kids related video mil jaengi. bachcho ki education videos, ABC, nursery rhymes, cartoon, games for kids videos. poems videos.
Kids TV – Nursery Rhymes And Baby Songs
ye channel bhi 2013 ki shuruat mei youtube per shuru kia gaya tha. is channel per apko bahut si babies videos mil jaengi. jin per lakhon mei views hai. is channel per 2 crore se jayada subscribers hai.
Infobells – Telugu
infobells “Infobells Interactive Solutions is a multi-faceted E-Learning firm” jo ek firm ke duara channel banaya gaya hai. yahan per apko animation cartoon ke sath sath education videos is youtube channel per dekhne ko mil jaenge. iske sath bahut sari categories jaise: “Children Rhymes, Animated Stories, Kids Education, Reference, Lifestyle, Self Improvement, CBT’s etc.” per bhi apko videos dekhne ko mil jaengi.
Finger Family Songs
Finger family songs jaise ke apko naam se hi pata chal agya hoga. yahan per apko kids ke sath family songs animation videos ke sath dekhne ko mil jaenge. is channel ko bachche bahut pasand karte hai.
CVS 3D Rhymes
CVS 3D Rhymes & Kids Songs youtube channel, jis per 3 crore subscribers hai. ye channel bhi world wide bachche pasand karte hai.
baki aur channel ko hum is article mei update karte rahnge. Lekin hum bachchon aur unke mata pita se yahi kahnge ki bachchon ko cartoon dekhne ke lie mobile de. lekin unke lie khud bhi time nikale aur unko bahar park mei khelne ke lie le ker bhi jaya kare. Kioki bachon ke lie physical activity bhi bahut jarori hai.